Nutrients ( Ghizai Ajza )
Namkiyat aur vitamin B-H-C-E iske nutrients hain aur iska mizaj garam hota hai
Khasiyat (Benefits) aur usse ilaj
- Cabbage me behad kam nutrition hota hai aur ye koi umda ya bahut hi faidemand sabzi nahi hai. Ise alo waghera ke saath hargiz paka kar na khaen balke use gosht ke saath paka kar khana faidemand hoga use ghee aur adrak ke bagher hargiz na paken aur na khaen.
- Cabbage balgham banne se rokti hai
- mardana taqat me behad mufeed hai aur masudu ke liye bhi ye ek faidemand sabzi mani gai hai is shart par ke isi bilkul kam miqdar me khaya jai.
Side Effects
Cabbage ya band gobi acchi ghiza nahi hai use kam se kam hi khana chahiye kyonke ye bahut zyada gases paida karti hai. use khana ho to adrak(ginger) ke bina hargiz iska istemal na karen aur ismi ghee zaroor shamil karke khaen warna ye bahut zyada khabz paida karti hai aur ise lagatar ya rozana istemal no karen kyonke iska lagatar istemal jism me khushki paida karta hai. band gobhi, phool gobi, ye dono bhi gases paida karte hain aur cabbage ko maide aur ganthiya yani jodo ke dard wale mareez hargiz istemal na kare.
Post a comment
Post a comment