Nutrients ( ghizai ajza )
namkiyat, roghani azja, protein aur vitamin H-C-E-B-D ki bahut zyada miqdar alo me maujod hai. sabziyon me alag alag vitamins sub se zyada alo me pai jati hain.
khasiyat (benefits) aur usse ilaj
- alo ko ubal kar ya paratha banakar khana sub se accha aur faidemand hota hai. Aur gosht ke saath alo khana bhi faidemand hota hai
- alo mani (sperm ) paida karta hai aur usko gaadha karta hai.
- alo me behad nutrition hota hai agar aata ya roti na bhi ho to use saada halat me ubal kar sirf alo bhi khaya ja sakta hai aur istarah se istemal hone wali ye sirf ek hi sabzi hai.
- alo jism ko taqat deta hai aur kamzori ko dor karta hai.
- agar jali hui jagah par ya zakhm par alo ka laip karde ya alo kaat kar rakhde to bhi dard me kami hojati hai aur us jagah par chaala nahi padta aur jaldi hi aaram aajata hai.
- Haan alo jabke gases paida karta hai magar jaisa ke medical ka usool hai ke gases paida karne wali har ghiza mardana taqat me izafa karti hai aur usko harkat me lati hai isi tarah alo bhi mardana taqat ko badhata hai aur harkat paida karta hai.
- alo jism ko taqat dene wali sabzi hai magar usko masaale (spices) aur gosht ke saath istemal karna zarori hai warna zarori faide hasil nahi hopate.
- jisko joints pain hai ya joint me gap aagaya hai to wo alo ka is tarah se istemal karen.
- Alo ko angar par accha bhoon lo aur phir uska chilka alag karlen aur namak mirch lagakar use khaen haddiyon me gap walon ye ek hafte ke andar aaram dedega.
- Agar kisi ko jigar ya gurde kidneys me pathri yani kidney's stone hai to wo alo ka zyada istemal karen aur phir din bhar me char panch liters pani bhi piyen pathri yani stone reza reza hokar nikal jaega.
- alo digest hojae to ye bahut hi behtreen sabzi hai aur sub se zyada faidemand bhi magar ye der hazam yani late se digest hoti hai.
Side Effects
- Kamzor maide walo ko alo ka istemal kam se kam hi karna chahiye kyonke ye unhe nuqsan pahuncha sakta hai.
- Alo gases paida karta hai isi liye use had se zyada bhi istemal karna munasib nahi.
Alo pakhane (feces) ko gadha aur ghat kardeta hai.
- baadi paida karta hai aur balgham bhi paida karta hai.is liye alo ko garam masaale ke saath istemal karna zarori hai.
- Der hazam aur khabz paida karne wali sabzi hai. kamzor mede wale log alo ka hargiz istemal na kren
Post a comment
Post a comment