A Balanced diet for Pregnant woman in Hindi
duniya ke tamam rishton
main MAA hi ek aisa rishta hota hai jo bina kisi gharaz ke apne bacche se
muhabbat karti hai.ek maa 9 mahiny ki
mushaqqat aur takleef ke baad bacche ko janam deti hai, phir bahut hi pyar ke
saath bacche ko paalti hai.
Isi liye to kaha jata hai ke maa ke qadmon ke
nieeche jannat hai.
Maa ki ye koshish hoti
hai ke uske bacche ko halki si kharash bhi na aaye aur uski taleem aur tarbiyat
main koi bhi kami na ho. Bus maa ki sari duniya uski aulad hi hoti hai.
Duniya main kisi bhi
aurat ka maa banna sirf usi ke liye nahi balke uske saare khandan ke liye
khushi ka mouqa hota hai. Ghar ke saare log yani tamaam family members is chote
se mehman ki aamad aur arrival ka sun kar hi uske isteqbal aur welcome ki
tayyariyon main lag jate hain. har kisi ko uska besabri ke saath intezar hota
hai, ke kab ye waqt guzrega aur aur ek chote se nanne munne sy bacche ki kulkariyon
se unka ghar goonj uthega.
Lykin is beech sub se
ahem baat jo aksar nazar andaz kardi jati hai wo hai hamila aurat yani pregnant
woman ki Health aur uske liye balanced food ko choose karna. Insani nasal ko
bakhi rakhne ke liye bahut hi zarori hai ke maa sehat mand aur healthy ho tab
hi to wo apni kookh se ek healthy aur sehat mand bacche ko janam de sakti hai.
Ek msahor aur senior gynecologist
ka kehna hai ke ek pregnant woman ke shohar(husband)aur ghar walo ki ye zimme dari hoti hai ke usko
acchi ghiza Healthy food aur mukammil aaram ka intezam kiya jaye, bacche ke organs
pori tarah se develop hosake aur uske damagh ki sehat ke liye zarori hai ke maa
healthy aur balanced food ka istemal kare.
Agar usko healthy food na mile to
baccha kamzor paida hoga aur us bacche ka immune system bhi kamzor hoga. agar
maa healthy food ki kami ka shikar hogi to delivery ke waqt khud uski aur
bacchi ki jaan ko bhayanak qatra bhi hosakta hai. aur kabhi kabhi to time se
pehle bhi delivery hone ki wajah bhi banta hai.
Pregnancy ke period main
jin Nutrient ka istemal behad zarori hain wo kuch is tarah hain. Diet main Protein,
Starch, Vitamins, Chiknayi, Calcium, Minerals, faulad aur pani ka istamal behad
zarori hai.
Protein For pregnant woman:
Pregnant woman apni diet
main Doodh, Dahi, Anda, Machli, Paneer, Chicken ko shamil kare. ye saari
cheezen uske aur uske bacche ke cells ki growth main ahem kirdar ada karenge.
Usi ke saath daalon aur anaj main bhi protein bahut zyada amount main maujod
hoti hain. aur poore din main 70 grams proteins ka istemal kaafi hota hain.
Starch for pregnant woman:
Pregnant lady ko apni diet
main Starch ka istemal bhi mutawazin aur balanced rakhna chahiye. Starch phal,
sabziyon, chawal (rice), gehun (wheat) aur baajra(millet) se hasil hota hai.
Iske istemal se pregnant mother aur uske hone wale bacche ke immune system main
izafa hota hai.
Healthy Fats for pregnant woman:
Protein aur Starch ky
baad ek pregnant woman ke liye ye zarori hai ke wo Reasonable quantity main chiknayi
yani healthy Fats ka istemal bhi kare. Healthy fats maa ki kookh main maujod
bacche ke nerves system, aankon aur brain develop main ahem kirdar ada karte
hain. Healthy fats pregnant lady ko Doodh se bani cheezon, gosht, fruits,
makkhan, Margarine, cream aur ghee main milti hain. 30 se 40 milligram tak
chiknayi yani fats pregnant ke liye theek hai. chiknayi aur fats ka istemal
zyada istemal hargiz na kiya jaye.
Vitamins for pregnant lady:
Vitamins bhi pregnant
mother ke liye bahut hi zarori hai.
Vitamin A and B:
Vitamin A aur vitamin B
ke wajah se baby ki haddiyon bones aur daanton ke badhne main madad milti hai.
Aur vitamin A,B Doodh, andon, gajar, palak, broccoli, Aalo, kaddu main maujod
hai. pregnant woman ke liye daily 700 Micrograms Vitamin A aur B bahut zarori
hota hai.
Vitamin C:
Vitamin C maa aur bacche
donon ke cells ki hifazat karta hai aur immunity aur foulad ko absorb karne
main madad karta hai, ye khatte phalon, aalo, Tamatar aur broccoli se hasil
kiya jasakta hai.
Vitamin D:
Vitamin D bhi Pregnant
mother aur uske bacche ki haddiyon bones ke badhne main ahem kirdar ada karta
hai. Aur vitamin D ke liye pregnant ko doodh aur machli ka istemal zaror karna
chahiye.
Vitamin E:
vitamin E bacche ke Red
blood cells aur Nerves ke liye zarori hota hai, pregnant lady Fruits aur palak
ke istemal se vitamin E hasil karsakti hain.
Calcium for pregnant woman:
Calcium pregnant lady ke
liye bahut hi ahem zarorat hai, kyonke baccha development aur badhne ke liye
Nutrition apni maa se leraha hota hai' isi liye maa jitni acchi diet legi
baccha utna hi healthy aur sehat mand hoga.
Calcium Dahi(curd),
doodh, paneer, lassi, Beans, hare patton wali sabziyon, daliye aur chanon main
paya jata hai. ek din main 1000 milligram se lekar 1300 milligram calcium lena
bahut zarori hai.
Foulad aur folic acid B for pregnant:
Folate aur folic acid B
ek aise nutrients hain jo ke pregnant mother
aur bacche ke liye behad ahem hain, kyonke ye jism main blood cells
banata hai aur pregnant lady ko khoon ki kami se bachata hai, bacchon main waqt
se pehle paidayesh ke khatre ko kam karta hai. Ek din main 600 microgram folic
acid aur 27 milligram faulad bahut kaafi hain.Aur isi tarah pani bhi bahut ahem
nutrient hain.
Balanced food ke saath
saath ye bhi bahut zarori hai ke pregnant mother ko mukammil aaraam dah mahool
aur mukammil sukoon diya jaye. pregnancy ke douran khaas tour se husband ko
apni wife ke saath bahut pyar ke saath rhna chahiye aur uske susraal walon ko
bhi chahiye ke usko har tarah ke dabaow se door rakhen, aur isi ke saath uska
monthly checkup bhi zaroor karwate rahen take kisi bhi qism ki emergency se
bacha jasake.
Balanced food ka hona is
liye bhi zarori hai ke agar food aur diet balanced nahi honge to bacche ke time
se pehle paida hojane ka khatra zyada hota hojata hai, isi liye behad zarori
hai ke maa pregnancy se lekar delivery aur breastfeeding ke period main apni
diet ka bahut hi zyada khayal rakhen aur is poore waqt main balanced diet ka
istemal karen taake wo khud bhi healthy aur sehatmand rahe aur hone wala baccha
bhi healthy rahe.
Post a comment
Post a comment