Fruits That Help In Weight Loss
Fruits yani phal' motapa kam karne main aur wazan kam karne main madagar hote hain.
Dubla patla aur smart aur Khoobsorat
nazar aana har mard ya aurat ka khawab hota hai. aur khaas kar
ladies apne figure ko lekar bahut hi pareshan bhi rehti hain aur tarah tarah ke
tootke bhi aazmati hain. kisi ko kopait kam karna hai, to wo pait kam karne ka tarika dhondte nazar ayegi.
kisi ko kowazan kam karna hai to wo weight loss karne ka tarika talash karti nazar ayengi, Beher haal weight ko likar zyada tar ladies hi pareshan rehti hain aur wo alag alag tarah ke tareekhe aamayeingi jime bhooka rehna bahut hi popular tootka hota hai.
laikin bahut
hi kam Ladies naturally slim aur smart hoti hain aur unhe apna wazan ghatany
aur body maintenance par kuch khaas tawajjuh dene ki zarorat nahi rehti.
Warna aksar
Ladies to yahi shikayat karte nazar aati hain ke khany peeny main aur apni diet
main zarasi gadbad hojany ya zarasi carelessness baratny par wo fauri motape ka
shikar hojati hain aur unka body shape bigadne lagta hai. Is liye agar wazan ko
control main rakhna ho to phir khany peeny main aihtiyat lazim hai. aur usky
saath saath thodi bahut exercise aur walking bhi zarori hai.
laikin ek
aur ahem baat ye bhi hai ke aap ko fitness ke topic se related awareness aur
maloomat rakhna bahut zarori hai. Yani
sari duniya bhar main is topic se related ki jane wali nayi nayi studies aur
researches ki khabar rakha karen, taake in ki jaankari ki wajah se un se fayda
utha saken aur apni diet par pora dhiyan rakh saken.
Ye nayi
researches bahut hi kaam ki hoti hi hain laikin kabhi kabhi to ye hyran kardene
ki had tak aasan aur easy bhi hoti hain, aur hum ye sonchty reh jaty hain ke aisi koyi research pehli hi kyon na kari gayi thi.
To yahi
wajah se aaj main' ek aisi hi taza tareen aur nayi research ki roushni main
kuch phal aur fruits khany ko recommend karonga taake aap is awareness aur
jaankari se poora poora fayeda utha saken. aur apni diet main thode se fruits
ko shamil karke apne weight aur body shape ko maintain karsaken.
Fruits That Help In Weight Loss
Orange:
Researches
aur studies batlati hain ke Orang jise narangi ya kyno, kaha jata hai' ek aisa
phal hai jis main paye jane compounds' cloistral ko ghatate hain aur yahi wajah
hai ke orange ke khany se wazan ghatane main bahut madad milti hai. to make
sure ke sabziyon aur fruits ki weekly kharidari karty waqt orange ko lena
bilkul na bholen.
Apple:
Apple ya saib ek aisa phal hai jiske
faydon ko jar koi janta aur manta bhi hai.
Wo misal to aapne kayi bar suni hi
hogi ke "ek apple rozana khayen aur
doctor se door rahen"
lihaza ek
apple rozana khan bahut saari bimariyon ko bhagata hi hai saath saath nayi
research se ye bhi sabit huwa hai ke apple qazan ghatany weight lose karne main
bhi bahut hi ahem kirdar ada karta hai. aur iske zyada tar fayede uske chilke
main bhi hote hain, to isi liye rozana ek apple chilke ke saath hi khayen. ye
jism ki extra charbi ya cloistral ko pighlany main madad karega. Scientists ki
research ki madad se ye maloom huwa han ke apple chilke main paye jane wale
nutrients charbi aur cloistral ko banne se rokte hain jis ke nateeje main
weight kam bhi hota hain aur control main bhi rehta hain.
Agar aap Apple ke bare main details
ke saath padhna aur janna chahte hain to meri ye post padh sakte hain jisme
main ne sirf apple ke bare main likha hai details ke saath. Click on TheLink Read >>>
Blueberries:
Blueberries
aksar log bahut hi bahut hi kam iska istemal karte hain aur kayi to aise bhi
hote hain jo zindagi main kabhi bhi iska tast na chaka hoga. Lekin main aapko
ye batladon ke ye Super fruit aapke pait aur kamar ke ird gird jama hone wali
charbi aur fat ko pighlane ki salahiyat rakhta hai aur extra fat ko jama hone
aur badhne se rokta hai. Isi liye main apko ye suggest karonga ke agar
blueberries aapke favorite nahi hain to is nayi research ki madad len aur
fauran hi blueberries ko apne favorite fruits main shamil karlen. aur iska
aksar istemal karte rahen. wazan ko ghatane aur maintain karne main madad
milegi.
Suggested Read:
Suggested Read:
Pears (Nashpati):
Mere khayal se aapne soncha bhi nahi tha hoga
ke meri list mail pears bhi honge' bahut se log pears ya nashpati bahut shouq
se khate hain likin iske fayde nahi jante. asal main is phal ko apple ka
mutabadil yani Alternative bhi kaha jata hai kyonke ye phal apple ke muqable
main kisi qadar sasta hota hai is liye ye gharibon ka apple bhi kaha jata hai.
Pears main antioxidant ke saath saath kuch aur fayde mand nutrients bhi hote
hain jo ke ladies ka wazan kam karne aur control main rakhne main bhi madad
karte hain. So aaj se apni kharidari main is super fruit ko bhi shamil karlen
aur apni fruit basket main pearl ka izafa zaror karlen.
Aur bhi kayi
fruit aise hain jo ke weight ke control main madad karte hain aur Healthy bhi
hote hain lekin yaha main ne jo fruits ko yaha mention kiya hai wo bahut hi
ahmiyat rakhte hain weight lose karne main ma, agar aap weigh lose aap bus in fruits ko apni diet
main shamil karlen i am sure ke bahut fayeda hoga...
aur bhi post hain mery is bare main yani ke weight lose karne main food yani fruits ya phir sabziyon ka kitna bada rule hota hai. you can check Here.
suggested Read:
Disclaimer:
This post is purely informative and educational in nature and should not be construed as medical advice. Please use the content only in consultation with an appropriate certified medical or healthcare professional.
Post a comment
Post a comment