Stomach main zyada acid ka banna acidity ki aur pait main jalan ki wajah banta hai. acid ke badhjane se pait
main dard, gasses aur saans main badboo paida hojati hai. aur seene main jalan
jaisi pareshani bhi joti hai.
Why does someone have acidity?
Acidity Hoti Kyon hai?
zyada waqt bhoka rehne, khali pait
rehne ya chai aur coffee ka zyada istemal acidity ki wajah banta hai. iske
alawa jab hum masale dar aur spices wale food khate hain to iski wajah se bhi
pait main acid zyada banta hai jo ke seene main jalan paida karta hai.
Koun hai jo khana pasand nahi
karta hai laikin ye ek bada masla banjata hai jab khane ki ye khawhish khabz,
gasses aur seene main jalan jaisi pareshaniyon main badal jati hai. ye ek aysi
pareshani hai jo ke sunne main bahut choti lagti hain lekin jab in ka samna
karna padta hai to acche acchon ka paseena chooth jata hai. Ghalat khane peene
ki wajah se pait se related ye pareshani badhti hai.
Kuch logon ko khane ka bahut shouk
hota hai lekin jaise hi wo khane ki taraf badhte hain phir dar kar apna haat
peeche kheench lete hain ya phir sirf thode hi par bas kardete hain, kyonke wo
khane se khabz ya acidity mehsoos karte hain.
What do people do to avoid acidity that is harmful?
Acidity ko door karne log kya karte hain jo ke ulta nuqsan deta hai?
Acidity ka masla kisi ko bhi
hosakta hai, lekin kuch logon ke saath ye masla bahut zyada hota hai ke agar wo
thoda sa bhi masale dar ya spicy food ya koi tali hui ghiza khalen to unko acidity
hojati hai.
Ab isse bachne ke liye bhut se log
alag alag qism ki dawaiyon ka istemal karte hain kuch to khane se behle hi
dawai khate hain kuch acidity hone par ya khane ke baad ihtiyatan dawai khalete
hain, aur beshak dawai ka side effect to rehta hi hai.
To phir aisa kya kiya jaye ke aap ko bina dawa khaye ke acidity aur gasses ki pareshani ko kam karne main madad mile.
Aaj ki bhagam bhag bhari zindagi mian baher ka ulta seedha khana bhi kabhi khalene par majboor hona padta hai. kayi baar to ye masla itna badh jata hai ke aap kuch karne ki halat main nahi hote hain. Aysi sorat main aasani se rahat pane ke liye hum acid ki dawai khate hain jo health ko mazeed nuqsan pahuncha sakta hai.
Aaj ki bhagam bhag bhari zindagi mian baher ka ulta seedha khana bhi kabhi khalene par majboor hona padta hai. kayi baar to ye masla itna badh jata hai ke aap kuch karne ki halat main nahi hote hain. Aysi sorat main aasani se rahat pane ke liye hum acid ki dawai khate hain jo health ko mazeed nuqsan pahuncha sakta hai.
HAAN ! aise tareekhe hain ke aap
bina dawa ke acidity se chutkarah hasil karsakte hain, iske liye aap ko sirf
apne khane peene aur daily diet main halki si changes karna hai.
Aap ke kitchen main bahut si aysi
cheezen maujod hoti hain jiko ke aap acidity door karne ke liye istemal
karsakte hain.
Is Atricle main aapko 16 aysi
cheezon se iska ilaj batlaunga jo ke aasani se aapke kitchen main mil jayegi.
01. Buttermilk For Acidity | chaanch acidity ke liye |
Buttermilk ko ayurvedic ilaj main
bahut khaas ahmiyat hasil hai. isliye jab bhi masale dar aur chatpati ghiza
khayen to anti-acid lene ke bjaye bahut behtar hai ke ek glass buttermilk ka
banakar peelen. zyada behtear results ke liye usmain kali mirch ya hara dhaiya peec
kar mila len.
How T Use Buttermilk For Acidity:
Acidity ke liye buttermilk banakar istemal karne ke tareekhe
- Ek chai ka chamach methi ke beej len aur usko thoda sa pani daal kar pees len take uska past ban sake. aur usko ek glass buttermilk main mila kar peelen.
- Ek chai ka chamach sirka ya limo ka ras len aur usko ek glass buttermilk main milalen aur kam se kam 5 se 10 minutes tak rakhden aur use peelen.
- Ek glass buttermilk main kaali mirch ka powder daal kar peelen.
- Ek chutki kaala namak aur ek chai ka chamach sookha bhuna hua zeera powder ek glass buttermilk main dalen aur 5 minutes ke baad peelen.
- Dhaniya ke patte pees len aur ek glass buttermilk main milalen aur thodi der milakar use istemal karlen.
In saare tareekhon main se jo koi
bhi aap ko aasan lage karsakte hain, aap ke pait ka problem khatam hojayega.
02.Fennel For Acidity |Sounf acidity ke liye |
Har khane ke baad Fennel yani
saunf khalene se bhi acidity se bacha jasakta hai. Digestive system ko theek
rakhne ke liye saunf ki chai nihayat hi mufeed hoti hai. Saunf main maujod tail
bad-hazmi aur pait ko phoolne se bachata hai.
How To Use Fennel For Acidity:
Saunf ko acidity ke liye istemal karne ke tareekhe
- Har khane ke baad ek chai ka chamach saunf chaba len.
- saunf ki chai ka istemal karen.
Saunf ki chai is tarah banayi jati
hai ke
- Ek chamach saunf ke beejon ko ek cup pani main daal kar use 5 se 10 minutes tak pakne den. kyonke saunf ka tast halka sa meetha hi hota hai isi liye aap ko is main shehed shamil karne ki zarorat nahi hai. aur agar zarorat mehsos karte hain to thoda sa shehed mila len aur phir usko chai ki tarah garam garam hi pee len.
Suggested Read:
- 10 Super Healthy Foods
- Healthiest Vegetables Or Meat ? What is Good for Health
- How To Weight Loss | wazan ghatane ke liye kya karna chahiye |
- Onion Benefits
03. Cinnamon For
Acidity | Daar cheeni acidity ke liye |
Cinnamon yani daar cheeni main
naturally anti-acid ki khasiyat maujod hain jo ke digestion ko behtar banati
hain. Acidity ki takleef se chutkarah
pane ke liye daar cheeni ki chai banakar piyen jo ke pait ke infection ko jald
se jald khatm kardegi.
- Daar cheeni ka powder ek chamach aadhi glass pani main daal kar thoda sa pakne den aur agar zarorat mehsos karte hon to thoda sa honey milalen aur phir chai ki tarah se istemal karen, acidity main bahut fayeda hoga.
04.Basil Leaves For Acidity | Tulsi ke patte acidity ke liye |
Basil leaves yani Tulsi ke patton
main gasses ko khatam karke pait ko aaram aur sukoon pahunchane ki khasiyat
maujod hai. jisse ke acidity main fauri hi aaram aajata hai. Tulsi ke patton
main bahut se components hote hain jo ke tulsi ko ek behtreen digestive agent
banate hain. Tulsi ke patte pait main peptic acid ke asar ko bhi kam karne ki
salahiyat rakhte hain, na sirf acidity balke tulsi ke pattiyan gasses aur Bloating
ko bhi theek karti hain.
How to Use Basil Leaves for Acidity:Tulsi ke patton ko acidity ke liye istemal karne ke tareekhe.
- jab kabhi bhi pait main gasses mehsoos hoon to 3 se 4 patton ko ek cup pani ke saath ubalen, kuch minutes tak pakne den phir utaar kar chaan len aur usko pee len.
- 5 se 6 tulsi ke patte lelo aur unko acchi tarah se dholo aur ahista ahista chabakar khalo.
- 9 se 10 patte tulsi len, unhen dhokar pees len, ab is tulsi ke past ko ek gilas halke se garm pani main milalen aur pee len.
isse aap ke acidity se hone wala
dard kam hota hai aur ye poori tarah se bhi acidity ko khatam karne main madad
karta hai.
05. Jaggery For Acidity | Gudh Acidity ke liye |
Jaggery yani ke Gudh main magnesium
bahut zyada amount main maujod hoti hai jo ke digestive system ko quwwat deti
hai aur haazme ko behtar karti hai aur acidity ko khatm karti hai.
- Har khane ke baad gudh ka chota sa tukda munh main rakh kar chooslen.
Gudh jism ke temperature ko bhi
kam karta hai aur acidity ko door karta hai, isi liye specialists garmiyon main
gudh ka thanda sharbat banakar peene ko recommend karte hain.
06. Cloves For Acidity | Loung acidity ke liye |
Cloves yani loung bhi acidity main bahut fydemand hota hai ayurvedic main digestion ki kharabi ko door karne ke liye loung ka istemal kiya jata hai, kyonke loung pait main banne wali gas
ko khatam karti hai is liye khaas kar ke loobiya, phalliyan, aur kaale chane ya
koi bhi aisi cheez jo pait main gas wa acidity paida karti ho, to usko banate
waqt un main loung pees kar dalen taake gas na bane.
Acidity se bachne ke liye barabar ki miqdar main pisi huwi ilachi aur loung bhi khayi jasakti hai. Acidity khatam karne ke saath saath ye munh ki badboo bhi khatam karegi.
Acidity se bachne ke liye barabar ki miqdar main pisi huwi ilachi aur loung bhi khayi jasakti hai. Acidity khatam karne ke saath saath ye munh ki badboo bhi khatam karegi.
07. Cold Milk For Acidity | Acidity ke liye thanda doodh |
Cold milk ya thanda doodh main
kyonke calcium bahut zayada amount main paya jata hai aisi liye uski maujodgi
pait main acidity se bachati hai. Yahi wajah hai ke jab bhi aap ko pait main
dard ya jalan aur acidity mehsos ho, usi waqt ek glass thanda doodh peelen. aur
ye ilag un logon ke liye bahut hi fydemand hoga jinko doodh ki bani cheezon ko
digest aur hazam karne main mushkil nahi hoti hai.
08. Cumin Seeds For Acidity | zeera acidity ke liye |
Cumin Seeds yani zeera aap ke
digestion aur hazme ko theek karta hai, pait dard main aaram deta hai aur
acidity ke asar ko khatam krata hai.
How To Use Cumin Seeds for Acidity:
Acidity ke liye Zeera kaise istemal karte hain:
- Zeere ko bhoon kar koot len aur ek glass pani main milakar peelen.
- Ya ek chamach zeera ek cup boiled water main daal kar rakhden aur har khane ke baad istemal karen.
- Thoda sa zeera lekar usko bhoonen jab aapko bhunte hue khusboo aane lage to iska matlab hai ke wo bhun chuke hain' ab us bhune huwe zeere ko ek chai ka chamach ek glass pani main ya buttermilk main daal kar peelen.
- Kuch nahi to sirf ek chutki bhar zeera munh main daal kar chabalen acidity se fauri hi chutkara hasil hoga.
- Potato Benefits | Alo Ke Faide Aur Nuqsan |
- Guffaon (caves) Me Rehne Wale insano Ki Sehat ka Raaz Kya Tha
09. Coconut Water For Acidity | Acidity ke liye Nariyal pani |
Coconut water yani nariyal pani
bahut hi fydemand hota hai acidity main. Jab hum narial pani peete hain to body
ka pH level alkaline main badal jata hai jo ke pait main ek tarah ka chipchipa
padart jise mucous bhi kehte hain banata hai jo aapko acidity ki wajah se hone
wali takleefon se fauran hi relief deta hai aur pait ho acids ke asar se mehfoz
rakhta hai. Nariyal pani main maujod fiber' digestion ko theek karta hai aur
acidity se bachata hai.
How to Use Coconut Water For Acidity:
Acidity ko kam karne ke liye nariyal pani kistarah istemal karen.
- Only Pure nariyal pani din main 3se 4 baar peelijiye aur har baar ek cup peesakte hain.
- Aur agar aap usko din bhar peene ka irada nahi rakhte hain to bhi sirf subha morning main ek cup nariyal pani peena na bholen.
Aur ye bhi khayal rakhen ke artificially
meetha kiya hua ya tast chang kiya hua nariyal pani hargiz na piyen. kyonke
aapko natural cheez ki zaroorat hai' agar aapke ilaqe main available hoto to
direct coconut se hi uska pani peena pasad kariye. aapko acidity main bahut hi
fydemand hoga.
10. Amla For Acidity | Acidity ke liye amla ka istemal |
Amla Vitamin C se mala maal hota
hai jo ke pait main dard , gasses, pait phoolna aur acidity main rahat aur aram
deta hai. aap rozana is ka istemal karsakte hain, ek to ye pait ko sukoon dene
ke saath saath khoobsorat baalon aur skin main bhi fydemand hoga.
Yani amla ke istemal se pait ke problems
main to fyda hota hi hai' uske sath amla kyonke baalon ki health ke liye bhi
bahut fydemand hota hai aur ye skin ke liye bhi usi tarah fyda deta hai.
11. Banana For Acidity | kela acidity ke liye |
Banana yani kela ek qudrati aur
naturally anti-acid fruit ya phal hai' jo pait mian jalan acidity jese problems
main madad deta hai aur aaram pahunchata hai. Bahut si aysi ghizayen hain jo
acidity main aur jalan ke ilaj main madad karti hain lekin kela ek aysa phal hai
jisme potassium bahut zyada amount main paye jate hain jo ke ek alkalizing
mineral hai jiska pH 14 hota hai. is tarah ek paka huwa kela aapke pait main
acidity ko kam karne main bahut fydemand hota hai. Sirf yahi nahi, kele main ek
aysa chemical hota hai jo ke aap ke pait ko andar se zayada balgham paida karne
ke liye active karta hai jo ke aapke pait ko acids se bachata hai aur hifazat
karta hai. Yahan tak ke stomach ulcers se bhi bachata hai. Kele main fiber bhi
zyada hota hai jo digestion system ko fast karta hai.
Isa tarah kam se kam ek kele ko
apni daily ki diet main shamil karlen taake aap iski wajah se acidity aur jalan
se chutkarah pasaken.
Precautions:Banana khane ke side effect main
kuch logon ko pait main jalan paida hojati hai. Iski wajah ye hosakti hai ke
aap ne jo kela khaya hai wo zyada paka huwa nahi tha. kyonke kacche kele main
maujod potassium , potassium nitrate ki shakal main hoti hai jo ke asal main
aapko jalan deta hai.To please hamesha zyada se zyada pake huwe kele hi khane
ki koshish karen.
Ayse kele len jis ke chilke par
bhoori rang ke dhabbe hoon. ye ek pake huwe kele ki nishani hoti hai . aur
saath hi saath paka huwa kela hi mazedar aur tasty bhi hota hai.
12. Cucumber For Acidity | Acidity ke liye kheera |
Cucumber yani kheera bhi acidity
main fydermand hota hai. Aap apni diet main kheere ko bhi shamil karsakte hain.
Kheere main bahut zyada paani hota hai jo jism ko Hydrate karta hai aur kheera
acidity ko bhi kam karta hai jisse acidity ki pareshani kam hoti hai.
koshis karen ke har khane main
salad ka istemal karen aur us salad main cucumber yani kheere ka istemal zaroor
karen isse aapko acidity ki problem bhi nahi hogi aur kheera aapke pait main
thandak bhi dega aur digestion main bhi madad karega.
- Taro Root { Arvi } [Mardana Taqat ke liye Faidemand Sabzi]
- Fruit as Diet and Medicine | Phal bataor e ghiza aur dawa |
13. Coriander for Acidity | Dhaniya Acidity ke liye |
Coriander yani Dhaniya duniya ke
bahut se hisson main khaas kar ke Asian countries main kitchen ke favorite ingredients
main se ek hai.
Chinese aur Indian medicines main bhi dhaniya ke beej ka
bahut zyada istemal kiya jata hai.
Europeans bhi bad-hazmi ya
indigestion ke ilaj main aur acid reflux ko door karne main madad ke liye
dhaniya ki chai banate hain aur uska istemal karte hain.
Ab sawal ye paida hota hai ke "KYON"?
Kyonke dhaniya main maujod tail ya
oils jyse ke Borneol aur Linalool, jigar ke theek se kaam karne main
madad dete hain, ye oils digestion ya hazme main madad karte hain.
Dhaniya ke bioactive compounds
matli, ulti, aur pait ki doosri bimariton ko rokte hain.
Aur agar acidity ki wajah se aapki
bhook bhi kam hochuki hai aur acidity ne aapki bhook ko dabadiya hai' to aapko
ye jaan kar khushi hogi ke taaza dhaniya ke patte aapko behtreen bhook lagane
wale hain!
Bahut saare studies se maloom huwa
hai ke jab aapki daily ki diet main dhaniya ko shamil kiya jaye to ye dyspepsia
(indigestion) ya bad hazmi ko kam karsakta hai.
How To Use Coriander For Acidity:
Acidity ke liye dhaniya ko kistarah istemal kiya jaye.
- Kuch dhaniya ke patte len aur uska ras nikalne ke liye thoda sa paani daal kar usko kuchal den. ab ek chamach dhaniya ke patton ka juice ek glass buttermilk main mix karen aur khane ke baad ya phir din main 2se 3 baar peelen.
- Ek chamach dhaniya ke beejon ko pees len aur unhe ek bartan main daal kar usme ek cup paani dalen aur use 8se 10 minutes tak pakne den. agar usko meetha karna chahte hoon to usme shehed mix karlen ya nahi to shehed ke bina hi ye chai din main 2se 3 bar peelen. aur bahut behtar hoga ke iska istemal khane ke baad karen.
14. Lemon Juice for Acidity | Limo ka ras Acidity ke liye |
Lemon juice ek natural Anti-acid
hai! limo main Citric acid hota hai jo ke aapke androoni acidic mahool ko alkaline
main badal deta hai. Is tarah aapko acidity se chutkara miljata hai.
Ab aapko shak jo sakta hai ke acidic
lemon juice kis tarah alkaline main badal dakta hai. to iska jawab ye hai ke.
Uske natural form yani qudrati shakal main (insani jism ke baher) limo ka ras
ek acidic substance hai jiski pH 7 se neeche hai. magar ek baar jab ye aapke jism ke andar jata hai aur aapke
khoon ke bahaaw main iske minerals mukammil taur par mil jate hain to iska pH 7
se badh jata hai aur alkalizing hojata
hai , aapka jism isko alkaline banadeta hai.
How to Take Lemon Juice For Acidity:acidity ke liye limo ka ras istemal karne ke tareekhe.
- Ek glass garm pani main aadhe limo ka ras milalen aur subha khali pait iska istemal karen. agar zarorat ho to is main thoda sa sheded bhi mix karlen.
- Aadha glass pani main 1 ya 1/2 limo ka juice milayen aur khane se pehle istemal karen agar zarorat ho to shehed dalen. aap cheeni bhi mix kar sakte hian.
15. Ginger for Acidity | Adrak ka istemal acidity ke liye |
Ginger yani adrak ek alkalizing jadi
booti, khana ya masala hai ya jo aap isko kehna pasand karte hon. Ek bahut hi
ahem ghiza hai jo ke main samajhta hoon ke aapka koi khana aysa nahi hoga ke
jisme iska istemal na kiya jata ho. aur koi bhi kitchen adrak ke bina adhora
hota hai. adrak pait main saliva production yani thook ke banne ko badhata hai
joke pait mai acid ko bilkul dhoo dalta hai aur tezab ki jalan ko door karta
hai. Ab ye ke aap iska istemal acidity main sukoon hasil karne ke liye kistarah
karsakte hain. Acidity se chutkare ke liye adrak ki chai bnayen.
aur uska
treekha istarah hai.
Ye cheezen len:
- Taaza adrak - 1 inch ka tukda
- Pani - 1 cup
- Shehed ya cheeni - tast ke hisaab se (optional )
Istarah se banayen:
Adrak ko dholen aur phir chilkar
cut kar len.
ek bartan main adrak daal kar pani
dalen aur
usko 8se 10 minutes tak pakne den
aur zarorat hoto
koi mithas ka istemal karen
aur isko din main 2se 3 bar
istemal karlen.
Agar aap adrak ki chai peena nahi
chahte hoon to adrak ko powder ki shakal main lene ka ek aur tareekha hai lekin
aapko iske saath kuch aur ingredients ki zarorat hogi.
Ye cheezen len:
Adrak powder - 1 chai ka chamach
Heeng - 1 chutki
Kala namak - 1 chutki
Pani - 1 cup
Istarah se banayen:
Pani ke cup main adrak powder,
heeng aur namak daal kar acchi tarah se mix karlen. aur usko istemal karen.
isse aapko acidity se fauri aaram
aur rahat mil sakti hai.
16. Watermelon For Acidity | Acidity ke liye Tarbooj |
Acidity se nimatne ke liye kam
acid wale foods madadgar sabit hote hain. tarbooj main pH 9 hota hai lihaza ye
bahut alkaline hota hai. ek behtar idea hoga ke diet main kam acid wali cheezen
jyse , grapefruit, broccoli, lettuce shamil hoon.
How To Use Watemilon for acidity:
acidity ko door karne tarbooz ka istemal kyse karen.
- Paka huwa aur bilkul laal hochuka tarbooj khariden aur use chote chote tukdon ke size main cut karke fridg main unko dhanp kar rakhden .jab bhi aap ko pait main acidity ya jalan mehsoos ho to tarboj ka bartan nikal kar thoda thoda khayen aur din bhar aysa hi karen .aur ek zarori ehtiyat yaad rakhen ke teen din se zyada tarboj ko fridge main rakh kar istemal na karen.
- Taaza tarboj cut karke uska juice banakar peena behtar hoga.
- Tarboj main doosre fruits kela aur angoor bhi mila kar salad banake bhi istemal kiya jasakta hai.
- Tarboj ka juice nariyal pani mian mila kar peene se bhi acidity se chutkarah milta hai...
Hope ke apko samajh aagay hoga aur agar pasand aaya to isko Share karke doosron ki bhi help karen kyonke i always say "sharing is caring"
Suggested Read:
14 Comments
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThank you for the update, very nice site.. unique postcards
ReplyDeleteI read that Post and got it fine and informative. dice for dungeons and dragons
ReplyDeleteThat is really nice to hear. thank you for the update and good luck. shroom chocolates
ReplyDeleteIt is a great website.. The Design looks very good.. Keep working like that!. psilocybe cubensis grow kit usa
ReplyDeletePositive site, where did u come up with the information on this posting?I have read a few of the articles on your website now, and I really like your style. Thanks a million and please keep up the effective work. mini projector
ReplyDeleteThis article is an appealing wealth of informative data that is interesting and well-written. I commend your hard work on this and thank you for this information. You’ve got what it takes to get attention. small backpack purse
ReplyDeleteThis is my first time i visit here. I found so many interesting stuff in your blog especially its discussion. From the tons of comments on your articles, I guess I am not the only one having all the enjoyment here keep up the good work buy liquid ketamine online
ReplyDeleteThis article is an appealing wealth of informative data that is interesting and well-written. I commend your hard work on this and thank you for this information. You’ve got what it takes to get attention. stainless steel microwave
ReplyDeleteI found your this post while searching for information about blog-related research ... It's a good post .. keep posting and updating information. Poker Blog
ReplyDeletePretty good post. I just stumbled upon your blog and wanted to say that I have really enjoyed reading your blog posts. Any way I'll be subscribing to your feed and I hope you post again soon. Big thanks for the useful info. situs poker online
ReplyDeleteI found your this post while searching for information about blog-related research ... It's a good post .. keep posting and updating information. แทงบอลออนไลน์
ReplyDeleteI think this is an informative post and it is very useful and knowledgeable. therefore, I would like to thank you for the efforts you have made in writing this article. poker online
ReplyDeleteAccording to a survey from AFF over 30% couples (6 million) are interested in looking for a unicorn for threesome or polyamorous relationship. find local unicorn
ReplyDeletePost a comment