Breastfeeding
how
important is breastfeeding for baby?
bacche ko maa ka doodh pilana kitna ahem
hota hai?
Why is Breastfeeding Important for your Baby?
aur kyon zarori hai bacche ko maa ko
doodh hi pilana ?
Hamari society ke mahoul ki banaawat me ek hayran kardene wali tabdeeli
changes aayi hain. Maa, jis ke bahut hi ahem waqt ka ek bada hissa apne
career aur apna mustaqbil banane me lag jata hai, uske paas apne hi bacchon ke liye koi waqt nahi hota aur wo bacche ko ahem aur qudrati ghiza natural food
jis par uska paidayeshi haqq banta hai usse mehroom rakhti hain, yani ke Breastfeeding nahi karati.
World health organization (WHO) ne is baat ki sifarish
ya Recommendation ki hai ke newborn baby ko bina kisi aur ke us waqt tak sirf
maa ka doodh pilaya jaye jab tak ke bacche ki umar 6 mahine ki nahi hojati.
newborn normal bacchon ko hamesha maa ke khareeb rakha
jaye na ke usse se door alag se nursery me, isse maa aur bacche ke beech Emotional connection bana rehta hai aur maa ko doodh pilane me bhi aasani rehti hai.
Newborn baby apne food ke liye sirf aur sirf apni maa
par Depend karta hai. isi liye doodh pilane wali maa ko hamesha apne
bacche ke food ka khaas tour se dhiyan rakhna chahiye aur khud uski apni
diet main hare patton wali sabziyan, fruits, protein, doodh waghera istemal
bahut karna chahiye.
Sucking, newborns ka natural process hota hai yani
naturally ek baccha doodh peena seekh kar hi paida hota hai aur isi liye wo
khud bakhud hi breastfeeding karne lagta hai.
Healthy diet khane wali maa ka sirf doodh 2 mahino tak
us bacche ke liye akela kaafi hota hai, aur 2 mahino ke baad us ke saath doosri
ghiza ka istemal karsakti hai aur uske saath saath dedh se do saal tak
breastfeeding bhi karati rahen.
Breastfeeding karane wali maaon ko
chahiye ke wo hamesha apna mizaj mood thanda rakhe aur kabhi bhi depression me na
rahe. bacche ki paidayesh se pehle se hi maa ko breastfeeding ke faidon ke bare me
sikhana chahiye aur ye baat bilkul saaf kardena chahiye ke maa ke doodh me aur
doosre doodh me kya faraq hota hai aur ye pori details ke saath batana chahiye
ke bacche ki health par maa ke doodh ke kya faide hote hain.
Haa is baat se koi inkar nahi karsakta ke agar maa ka
doodh bacche ke liye kaafi nahi hota hai ya agar maa ko koi aisi bimari ho ke
doodh bilkul hi na aata ho ya uska doodh bacche ke liye kisi bimari ki wajah se
peena theek na ho to phir artificial feeding se kaam lene ke siwa koi chara
nahi rehta.
Breastfeeding ke bahut sare faidon me se pehla faida ye hota hai ke maa ka doodh bilkul saaf suthra
aur Pollution, germs se paak hota hai. aur aasani ke saath available rehta hai.
aur bacche ki zaroorat ke hisaab se theek temperature par available hota hai.
Maa ke doodh me Anti-infective
factors maujood hote hain jo ke bacche ko baaheri infections se bachaow ka kaam
karte hain. isme wo sub kuch hota hai jo ke ke baby me starting months me viral
aur Bacterial Infection ko control karta hai. dilchasp baat dekhen ke desi
ilaqon me viral aankh aane par aur aankhon ke mamoli se infection me first aid
tour par maa ka doodh as a eye drops istemal kiya jata hai.
Ek Healthy, breastfeeding
karwane wali maa ek din me lag bhag 500ml doodh produce karti hai aur
breastfeeding ke pehle saal me ye quantity badh kar 700ml tak bhi jasakti hai.
maa ke doodh ki Caloric value 100ml me 70 hoti hai,jo ke bacche ki zarorat ko
har tarah se mukammil karti hai.
Maa ke doodh me ek protein
Lactoferrin hota hai jo ke aanton aur tanaffus ke infections main munasib help
karta hai. ye lactoferrin as a strong Anti-germs kam karta hai taake maa ka
doodh ghanton tak germs se bacha rahe.
Ek working women apna
doodh ek saaf suthre germs se paak bartan me ekhatta kar sakti hai aur ye doodh
us maa ki absence me bacche ko pilaya jasakta hai.
Jo doodh first week me produce
hota hai wo protein aur Protective antibodies se bahut zyada bharpoor hota hai ye, colostrums
kehlata hai. jo rangat me creamy, yellowish aur sticky gadha yani thick hota hai, ye stomach aur
intestine ke system ki zyada se zyada hifazat karta hai. liken bad qismati se bahut
si ladies iski importance se na waqif hoti hain aur kuch ladies to is
doodh ko phenk deti hain, wo bacche ko is waqt doodh pilana shuru karti hain
jab ke produce hone wala doodh patla aur rangat me whit hojata hai.
Insani doodh main kam
protein hoti hai is liye ye gaay ke doodh (cow milk)se bhi jaldi hazam ya
digest hojata hai. staring ke 2'3 mahino main baby ka pait infections ke kiye
bahut hi kamzor hota hai aur is stage main agar usko cow milk pilaya jaye to is
main maujood high protein ki wajah se baby me allergy paida hosakti hai, lekin
agar bacche ko sirf aur sirf maa ka doodh pilaya jaye yani Breastfeeding karwai
jaye to kabhi bhi aisi sorat ka samna karna nahi padega.
Insani doodh Carnitine ka
bharpor source hai jo jigar lever ki health ko badhata hai aur usko healthy rakhta
hai. maa ka doodh calcium ke absorb hone me madad deta hai aur brain ke Improvement
ko develop karta hai.
Ye baat to bilkul proved
hai ke jo bacche maa ke doodh par develop hote hain unka IQ un baccho se zyada
hota hai jo maa ke doodh par nahi pale badhe hote hai.
Maa ka doodh maa aur
bacche beech ek emotional bandhan ko bahdata hai. baccha sirf chone se hi
ma ko pehchnne lagta hai aur khud ko zyada safe mehsoos karta hai.
Touch therapy ke Studies
aur Investigations ye baat ko prove karchuke hain ke jo baccha maa ka doodh
peeta hai wo doodh peene aur sone yani sleeping ke waqt apni maa se chipak kar
rehne ka maza leta hai aur phir bada hokar ek confident citizen banta hai. Isi
liye wo bacche ko bottle aur jhoola nahi dene ko recommend karte hain.
Breastfeeding zyada aasan
aur sufficient hota hai, germ ko marne ke liye bar bar bottle ko dhoni ki
jhanjat aur na hi artificial foods ki bar bar tayyari karni padti hai.
Educated ladies ke andar
is bare main bahut zyada miss understandings hoti hain ke breastfeeding karane
se unka figure kharab hajayega, ye baat bilkul sach nahi hai, Breastfeeding
karane se kisi bhi lady ke figure me koi kharabi nahi aati.
Ek aur miss understanding
ye bhi hai ke jab kisi bacche ko halka sa bhi Diarrhea hojata hai to ye samjha
jata hai ke iski wajah maa ka doodh hai aur bas maa ka doodh band kardiya jata
hai, har haal main ye baat yaad rakhni chahiye ke maa ke doodh se kabhi bhi Diarrhea
nahi hota.
Breastfeeding ke waqt baby
ko apne se qareeb is tarah thaam kar rakhen ke uska sar aapke kuhniyon (Elbows)
par aur uske koolhe (bumps) aapke hatheli par hoon. Agar feed lene ke baad
baccha Continuous 2 se 4 ghante tak soota rehta hai to samajh len ke uska pait
bhar chuka hai. kabhi bhi breastfeeding ka time table na banayen, subha sawere
ki feeding zyada nutrition se bharpoor rehti hai kyonke us waqt breastmilk
zyada thick, gadha hota hai.
Breastfeeding karwane wali
mothers ye baat ko apne dimagh me bithalen ke bacche ko doodh pilane ka unki
health ya unke figure par koi ulta asar nahi hota.
Hosakta hai ke Duniya bhar
ke doosre kamon main science aur technology ka raaj ho lekin purane zamane ka
ye tareekha jisse ke maa apne bacche ko doodh pilati hai, hamesha artificial
method se doodh pilane se badhkar aur uncha rahega.
career ke liye bacche ki
food se samjhota na karen. apne masoom aur nazuk baby ko behtreen ghiza aur food provide
kijiye yani ke breastfeeding, breast milk joke us ke liye AAB-e-HAYAAT hai..
Meri ye baat un sub ladies
tak joke bahut hi jald duniya ki sub se badi khush kabri dene wali hain yani ke
maa banne wali un tak pahuncha dijiye taake wo sub in saari maloomat ko jaan
saken aur ek behtreen tareekhe se apne bacche ki parwarish karsaken aur apne
newborn ki health ka khayal rakh saken.
Always " Sharing Is
Caring ".
Post a comment
Post a comment